Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

 Hazrat Khwaja Maruf Karkhi

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism e graami Asad Uddin al Maruf tha jab kay aap Maruf ke naam se mashhoor hue. Aap ke waalid Majid ka naam Feroz tha. Aap ke walidain paarsi mazhab ke peirokaar they. Aap Hazrat Imam Musa Ali Raza Razi AllahTala Anhu ke tarbiyat yafta they 19 Shawaal 128 Hijri ba roz chaar shnbah Asar ke waqt Hazrat Khwaja Dawud Tai Rahmatullah Alayhse Baghdad mein aap ne khilafat haasil ki. Aur iss ke baad 197 Hijri mein baroz jummay Mashad mein Imam Musa Ali Raza Razi AllahTala Anhu se khilafat haasil ki .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aap khud farmatay hain ke mere walidain ne mujhe aik Esaai mualim ke paas batha diya. Is mualim ne sab se pehlay yeh sawal kiya ke tumahray ghar mein kitney afraad hain jis par mein ne bataya ke mere ghar teen afraad hain. Is par ustaad ne kaha ke Eesa teen Khudaon mein teesra Khuda hai. Aap farmatay hain aalam e kufar mein bhi meri ghairat ne yeh gawara nah kya ke aik se siwa dosray ko poukaron. Is liye mein ne inkaar kar diya. Is par mualim ne mujhe maarna shuru kar diya woh jitni shiddat se mujhe maarta mein itni hi jurrat se inkaar karta. Aakhir-kaar is ne tang aa kar mere walidain se kaha ke is ko qaid kar do. Mein teen roz taq qaid raha har roz aik rootti millti thi magar mein is ko choota taq nahi tha. Jab mujhe qaid se nikala gaya to mein ghar se bhaag gaya. Kyunkay mein walidain ka akela hi larka tha is liye meri judai se inhen sakht sadma huwa paigham bheja ke wapas lout aao jis mazhab ko chahtay ho inkhtiyaar kar lo, hum bhi tumahray sath apna deen tabdeel kar len ge. Chunancha mein Hazrat Imam Ali Musa Razi AllahTala Anhu ki khidmat mein haazir howa aur un ke dast e haq par musalman ho gaya. Phir jab mein ghar pouncha walidain bhi imaan ki doulat se malaa maal ho gaye .

Aap ne taleem o tarbiyat Hazrat Imam Ali Musa Razi AllahTala Anhu se mukammal ki. Is ke ilawa Hazrat Imam Abu Haneefa Razi AllahTala Anhu  se bhi bharpoor ilm haasil kya. Is ke ilawa ilm tareqat Hazrat Habib Razi AllahTala Anhu  se haasil kya. 19Shawaal 128 Hijri ba roz chaar shanbah Asar ke waqt Hazrat Khwaja Dawud Tai Rahmatullah Alayh  se Baghdad mein aap ne khilafat haasil ki. Aap azaan is shaan se parhte they ke khauf se rongte aur daarhi ke baal kharray ho jatay they aur aisay maloom hota tha ke jaisay aap abhi gir parrin ge. Bar bar raat ko aapki masjid se giryaa zaari ki aawazian aati rehti theen. Hazrat Sarri Saqti Rahmatullah Alayh farmatay hain ke mujhe jo kuch bhi mila hai woh Hazrat Maruf ki badolat mila hai.Hazrat Abdul Wahab ka qoul hai ke mein ne aap se bara tarik al-dunia is Jahan mein kisi ko nah dekha. Aap ke tasarruf  ka yeh aalam hai ke aap ka mazaar Aqdes qzaye hajat ke liye tariyaaq maana jata hai .

Aaphar waqt ba wazo rehtay they. Aik din aap ka wuzu saqt ho gaya to aap ne foran tayamum ka ihtimaam kar liya. Logon ne arz ki ke Hazrat Dareaye Dajla paas hi hai tayamum ki kya zaroorat hai. Is par Hazrat Maruf  Rahmatullah Alayh  ne farmaya ke agar Dajla taq pahunchte pahunchte mout aa gai to meri mout napaaki ki haalat mein hogi. Aap duniya se mutnafar aur be zaar they. Har waqt yaad e Elahi  mein mashgool rehtay they. Hazrat Dataa Ganj Baksh Rahmatullah  Alayh Ne kashaf  ul Mahjoob mein likha hai ke aap ke manaqib o fazayl ki koi hadd nahi hai. Aloom mein aap qoum ke muqtida aur sardar hain .

Aik dafaa aap Dareaye Dajla ke kinare kapray aur Quran Shareef  rakh kar ghusal kar rahay they ke aik zaefa aayi aur aap ke samaan ko utha kar le gayi. Aap ne is ka peecha kya aur aik jagah rok kar kaha ke mein tumhara bhai Maruf  Rahmatullah Alayh  hon kya tumhara koi larka bhai ya shohar hai jo Quran Shareef  parhay. Is ne kaha nahi. Is par aap ne farmaya Quran Shareef mujhe day do aur kapray le lau mein ne duniya o akhirat mein har jagah tumhe maaf  kya. Yeh sun kar us ko itni sharam aayi ke is ne tauba ki phir aap ki dua se woh Walia aur mutqia ho gayi .

Hazrat Sarri Saqti Rahmatullah Alayh  bayan farmatay hain ke mein ne eid ke din aapko khajorin chunte hue dekha to mein ne poocha huzoor kya kar rahay hain. Aap ne farmaya ke mein ne is larke ko rotay hue dekha to is se poocha kay tum kyun rorhe ho. Is bachay ne jawab diya ke aaj eid ka din hai aur mein yateem hon sab log naye kapray pehnay hue hain aur mere paas kuch bhi nahi hai. Is liye mein yeh khajorin chunn raha hon. Un ko beech kar mein is larke ko akhrot le dun taakay yeh khailay aur khail mein mashgool honay ki wajah se apna dard bhool jaye. Hazrat Sarri Saqti Rahmatullah Alayh  ne arz ki ke Hazrat mein is kaam ko injaam day deta hon aap be fikar rahen. Chunancha mein is bachay ko leker kapray ki dukaan par gaya. Is ko naye kapray khareed kar pehana diya. Is ke baad Hazrat Sarri Saqti Rahmatullah Alayh farmatay hain ke is kaam ke baad mere dil mein aik noor peda howa aur meri haalat kuch aur hi ho gayi .

Aap is daar e faani se 220 Hijri ko rukhsat hue. Aap ke wisaal ke waqt aik ajeeb waqea zahuur Pazeer howa. Jab aap is duniya se rukhsat hue to tamam logon ne dawah  kiya ke hum aap ka janaza uthayen ge jis mein Yahodi Paarsi aur Musalman sab shaamil they. Aap ke khadim ne kaha ke mujhe Hazrat Maruf  Rahmatullah Alayh  ne wasiyat ki thi ke jo qoum mera janaza zameen se uthaye gi wohi meri tajheez o takfeen  kere gi. Chunancha sab se pehlay Yahudion ne koshish ki phir Parsyon ne koshish ki lekin koi bhi janazay ko utha nah saka. Aakhir main Musalmanoon ne janazay ko uthaya aur aap ko supurd e khaak kar diya. Aap ka mazaar Aqdes Baghdad Shareef mein hai .